بسم الله الرحمان الرحیم
ZAKAT KA BAYAAN:
Al Quran : Zakat mufliso aur mohtajon aur uska
kaam karne walon ka haq hai aur jinki diljoyee karni hai aur gulam ki gardan
churhane mein aur
Qarzdaron ke Qarz (ada karne) mein aur Allah ki
raah mein aur
musafir ko ye Allah ki taraf se muqarrar kiya
hua hai aur
Allah janne wala hikmat wala hai
Surah Tauba (9) , Verse 60
(Aye Rasool’Allah!) Aap Farmao,
Beshaq! Mera Rab Rizq Wasi’a Farmata Hai Apne Bando Me Jiske Liye Chahe
Aur Tangi Farmata Hai Jiske Liye Chahe
Aur Jo Cheez Tum Allah Ki Raah Me Kharch Karo
Uske Badley Aur Dega Aur Woh Sabse Behtar Rizq Dene Wala Hai.
– (Sureh-Saba-34,
Ayat 39)
Unki Misaal Jo Apne Maal Allah Ki Raah Me
Kharch Karte Hai
Uss Dane Ki Tarah Hai Jisko Saat Baali Nikley Aur Unn Har Baaliyon Me Se
Sou-Sou Daane Nikle
Aur Allah Uss Se Bhi Zyada Barhaaye Jiske Liye Chahe Aur Allah Wus’at Wala Ilm
Wala Hai.
– (Sureh-Bakrah-02, Ayat 261)
Zakat San 2 Hijri Me Musalmano Par Farz Hui,Islam
Me Shuru Se Hi Garibo Ki Madad Karne Par Tawajjoh Dilai Jati Thi. Par Iske Liye
Koi Mukammal Qayda Nahi Tha. Daulatmand Jo Bhi Karte Apne Dilse Karte The.
ALLAH Subhan Wa Ta'ala Ne Zakat Ko Islam Ka 3ra Rukn Karar Diya Aur Ab
Musalmano Par Zakat Farz Hui.
Allah ta’ala farmata hai kamyabi pate hain wo log jo zakat
adaa krte hai aur farmata hai jo kuchh tum kharch kroge Allah ta’ala uski jagah
aur dega
aur Allah behtar rozi dene wala hai,aur farmata hai jo log bukhal karte hai uske sath jo
Allah ne apne fazal se unhe diya wo ye gumaan na kare ki yeh unke liye achha
hai balki yeh unke liye bura hai usi cheej ka qayamat ke din unke gale mein
TauQ dala jaega jiske sath Bukhal kia hoga.
Zakaat Kin pe Farz hai?
( 1 ) Musalman Hona Yani Kafir Par Zakaat Farz Nahin
( 2 ) Baligh Hona Yani Na Baligh Par Zakaat Farz Nahin
( 3 ) Aaqil Hona Yani Deewane(Pagal) Par Zakaat Farz Nahin
( 4 ) Azaad Hona Yani Laundi Ghulam Par Zakaat Farz Nahin
( 5 ) Maalike Nisaab Hona Yani Jis Ke Paas Nisaab Se Kam Maal Ho Us Par Zakaat
Farz Nahin
( 6 ) Pure Taur Par Maalik Ho Yani Is Par Qabza Bhi Ho
Tab Zakaat Farz Hai Warna Nahin
Maslan Kisi Ne Apna Maal Zameen Mein Dafan Kar Diya Aur Jagah Bhool Gaya
Fir Barson Ke Baad Jagah Yaad Aai
Aur Maal Mil Gaya Toh Jab Tak Maal Na Mila Tha Us Zamane Ki Zakaat Wajib Nahin
Kunki Nisaab Ka Maalik Toh Tha Magar Is Par Qabza Nahin Tha
( 7 ) Nisaab Ka Qarz Se Faarigh Hona
Agar Kisi Ke Paas Ek Hazar Rupye Hai
Magar Woh Ek Hazar Ka Maqrooz Bhi Hai Toh Us Ka Maal Qarz Se Faarigh
Nahin
Lihazah Us Par Zakaat Nahin
( 8 ) Nisaab Ka Hajate Asliya Se Faarigh Hona
Hajate Asliyya Yani Aadmi Ko Zindagi Basar Karne Mein Jin Chizon Ki Zarurat Hai
Maslan Apne Rahne Ka Makan Jadey Garmiyon Ke Kapde Gharelu Saman
Yani Khane Pine Ke Bartan Charpaiyan Kursiyan Mezein Chulhe Pankhe Waghairah
In Maalon Mein Zakaat Nahin Kunki Yeh Sab Malo Saman Hajate Asliyya Se
Farigh Nahin Hain
( 9 ) Maale Nami Hona Yani Badhne Wala Maal Hona
Khwah Haqeeqatan Badhne Wala Maal Jaise Maale Tijarat
Aur Charayi Par Chhodey Hue Janwar
Ya Hukman Badhne Wala Maal Ho Jaise Sona Chandi
Ki Yeh Isi Liye Paida Kiye Gae Hain Ki In Se Chizen Kharidi Jayen
Aur Bechi Jayen Taki Nafa-a Hone Se Ye Badhte Rahen
Lihazah Sona chandi Jis Haal Mein Bhi Ho Zewar Ki Shakl Mein Hon
Ya Dafn Hon Har Haal Mein Yeh Maale Nami Hain
Aur Inki Zakaat Nikalna Zaruri Hai
( 10 ) Male Nisaab Par Ek Saal Guzar Jana
Yani Nisaab Pura Hote Hi Zakaat Farz Nahin Hogi
Balki Ek Saal Tak Woh Nisaab Milk Mein Baqi Rahe Toh
Saal Pura Hone Ke Baad Is Ki Zakaat Nikali Jaye
Sone Ka Nisab Sadhe Saat Tolah Hai
Aur Chandi Ka Nisab Sadhe Bawan Tolah Hai
Sone Chandi Main Chaliswan Hissa Zakaat Nikaal Kar Ada Karna Farz Hai
Yeh Zaruri Nahin Ki Sone Ki Zakaat Mein Sona Hi
Aur Chandi Ki Zakaat Mein Chandi Hi Di Jaye
Balki Yeh Nhi Jayez Hai Ki Bazari Rate Se Sone Chandi Ki Qeemat Laga Kar Rupye
Zakaat Mein Dein.
Pahanne ke Zewraat ki zakat
-----------------------------------------------------------
Amr ibn al-'As Radi Allahu Anhu se rivayat
hai ki Ek Aurat Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke pass aayee uski beti
bhi uskey saath thi aur uski beti ke haath mein soney (gold) ke do bade bade
kangan they Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne pucha kya aap in kangano ki zakat
dete ho ? usney kaha nahi , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya aapko
ye pasand hai ki Qayamat ke din Allah aapko Aag ke kangan pahnaye ye sunkar
usne usi waqt kangan utar diye aur aapki khidmat mein pesh kartey huye kaha ki
ye Allah aur uskey Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke liye hai
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1550-Hasan
Abdullah bin shaddad Radi allahu anhu se
rivayat hai ki hum log Aisha Radi allahu anha se paas gaye wo kahne lagi
merepaas Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam aaye Aapne mere haath mein
chandi ki anguthiyan dekhi aur farmaya , Aisha ye kya hai ? maine arz kiya ki
ye maine isliye banwayee hai ki aapke liye banao singar karu , Aap Sal-Allahu
alaihi wasallam ne pucha , kya aap inki zakat ada karti ho maine kaha nahi , ya
jo ALlah ko manzur tha kaha Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ye aapko
jahannam mein je jaane ke liye kaafi hai (agar aap zakat nahi dogi to)
Sunan Abu dawud, Jild 1, 1552-Sahih
Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sallallahu Alaihi Wasallam ne
farmaya ki jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat ada
nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreeley ganjey saanp ki shakal
ikhtriyar kar lega uski aankhon ke pass do siyah(black) nuqtey honge jaise
saanp ke hote hain phir wo saanp uskey dono jabdo se usey pakad legaaur kahega
ki main tera maal aur khazana hun
Sahih Bukhari , Jild 2, 1403
No comments:
Post a Comment