Sunday, 28 May 2017

IMPORTANCE OF FASTING IN RAMADAN- ROZE KI EHMIYAT

                                   بسم الله الرحمان ال رحیم 


Maahe ramzaan ki  khususiyat ye  hai ke Allaah azzawajal ne iss mahine mein Quran-e-Paak naazil farmaya, Chunanche Allaah azzawajal Quran mein irshaad farmata hai;

 Ramzaan ka mahina, Jisme Quran utaara, Logon ke liye hidaayat aur rehenumayi aur faisle ki roshan batein, Toh tumme jo koyi ye mahine paaye zarur uske Roze rakhe aur jo bimaar ya safar me ho toh utne Roze aur dino me, Allaah azzawajal tumpar Aasaani chahata hai aur tum par dushwari nahi chahata aur issliye ke tum ginti poori karo aur Allaah ki badaayi bolo iss par ke usne tumhe hidaayat ki  aur kahe tum haq guzaar ho.

1) Ek riwaayat ke mutaabik arsh uthane waale farishte rozedaar ki duwa par aameen kehete hai.

2)   Aur ek riwaayat ke mutaabik maahe ramzaan ke rozedaaron ke liye dariya ki machliyan iftaar tak dua-e-magfirat karti reheti hai.

3)    Jab maahe ramzaan ki Pehli shab aati hai toh aasmaano aur Jannat ke darwaze khool diye jaate hai aur aakhiri raath tak bandh nahi hote.

4)     Maahe ramzaan me nafl ka sawaab farz ke baraabar aur farz ka sawaab 70 gunah badaa diya jaata hai.

5)    Jo koyi banda iss maahe mubaarak ki kisi bhi raath mein namaaz padhta hai toh Allaah azzawajal uske har sajde ke badle mein uske liye 1700 nekiyan likhta hai aur uske liye jannath mein surkh yaqut ka ghar bana tha hai. Jiss mein 70,000 darwaaze honge aur har darwaaze ke dono pat sone ke bane honge jinn me yaqute surkh jade honge.

6)   Jo koyi maahe ramzaan ka pehla roza rakhta hai toh Allaah azzawajal mahine ke aakhiri din tak uske gunah maaf farmadeta hai aur dusre ramzaan tak uske liye kaffara hojaata hai aur

7)     Har woh din jisme ye roza rakhega uss har roze ke badle mein usse 1000 sone ke darwaazon waala mahal jannat mein ataa hoga aur uske liye subho se shaam tak 70,000 farishte dua-e-magfirath karte rahenge.

8)     Raath aur din mein jab bhi woh sajda karega uss har sajde ke badle usse jannat mein ek ek aisa darakht ataa kiya jayega ke har uske neeche ek ghud sawaar 100 baras tak bhi chale phir bhi uss ek darakht se dusre sire tak na pahunch sake.

9)   Baaz ulama farmate hai ke jo maahe ramzaan me marjaaye uss se sawaalaat-e-Qabr nahi hote.

10)     Qiyaamat mein maahe ramzaan aur Quran rozedaaron ki shafa’at karenge ke maahe ramzaan toh kahega ke Maula azzawajal maine isko din mein khaana peene se rooka tha aur quran arz karega ke Ya Rab azzawajal maine usko raath mein tilaawate-wa-taraaweeh ke zariye soone se rooka.

11)  Jab maahe ramzaan ki Pehli raath hoti hai toh Allaah azzawajal apne makhluq ke taraf nazar farmaata hai aur jab Allaah azzawajal kisi bande ke taraf  nazar farmaye toh usse kabi azaab nadega.

12)   Har rooz 10 laakh gunehgaaron ko jahannam se aazaad farmaata hai 29 raath hoti hai toh mahine bhar mein jitne aazaad kiye unke majmu’aa ke baraabar uss ek raath mein aazaad karta hai.

13)    Phir jab Eid-ul-fitr ki raath aati hai malayika khushi karte hai aur Allaah apne noor ki khaas tajalli farmaata hai aur farishte se farmaata hai aye giroh malayika, unko poora poora ajr diya jaaye Allaah farmaata hai main tumhe gawah karta houn ke maine unn sab ko bakshdiya.



Sarkaare Madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne maahe sha’baan ke aakhiri din bayan farmaya (bayan ka maffum):

1.   Aye loogon tumhaare paas azmatwaala barkatwaala mahina aaya woh mahina  jis mein ek raath aisi bhi hai jo 1000 mahino se behtar hai.

2.   Iss maahe mubaarak ke roze Allaah azzawajal ne farz kiye aur iss ki raath mein qiyaam sunnat hai.

3.   Jo iss mein neki ka kaam kare toh aisa hai jaisa aur kisi mahine mein farz adaa kiye, aur iss mein jis ne farz adaa kiye toh aisa hai jaisa aur dino mein 70 farz adaa kiye.

4.   Ye mahina sabar ka hai aur sabar ka sawaab Jannat hai.

5.   Ye mahina mu’asath(gamkhwari aur bhalayi) ka hai aur iss mahine mein momineeen ka rizq badhaya jaata hai .

6.   Jo iss mein rozadaron ko iftaar karaaye(Ek ghunt dhood ya paani ya ek khajur se iftaar karaye) uss ke gunahon ke liye magfirath hai aur uss ki gardan aag se aazaad kardi jayegi aur iss iftaar karane waale ko waisahi sawaab milega jaisa roze rakhne waale ko milega. Bagair iske ke uske ajar mein kuch kam ho.

Hadith: jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh (face) ko sattar (70) baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai 
Abu Said khudri radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh (face) ko sattar 70 baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai 
Sahih Muslim , Vol3, 2713 

अबू सईद खुदरी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू-अलैही-वसल्लम ने फरमाया की जो एक दिन रोज़ा रखे अल्लाह की राह में तो अल्लाह उसके मुँह को सत्तर (70) बरस की राह तक दोजख से दूर कर देता है 
     सही मुस्लिम , जिल्द 3, 2713

 अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया रोज़ा दोजख से बचने के लिए एक ढाल है इसलिए ( जो रोज़ेदर हो) वो ना तो बीवी से हमबिस्तरी करे और ना फ़हाश (बुरी) और जहलत की बातें करे और अगर कोई शख्स उस से लड़े या उसे गाली दे तो उसका जवाब सिर्फ़ ये कहना चाहिए की मैं रोज़ेदर हूँ दो बार (कहे) , उस ज़ात की कसम जिसके हाथ में मेरी जान है रोज़ेदर के मुँह की बू अल्लाह के नज़दीक मस्क की खुश्बू से भी ज़्यादा पसंदीदा और पाकीज़ा है ( अल्लाह सुबहानहु फरमाता है) बंदा अपना खाना पीना और अपनी शहवात मेरी लिए छोड़ता है रोज़ा मेरे लिए है और मैं ही इसका बदला दूँगा और नेकियों का सवाब भी असल नेकी के 10 गुना होता है
सही बुखारी , जिल्द 3, 1894

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अगर कोई शख्स (रोज़ा रखकर भी) झूठ बोलना और दगाबाज़ी करना ना छोड़े तो अल्लाह सुबहानहु को उसकी कोई ज़रूरत नही की वो अपना खाना पीना छोड़ दे
सही बुखारी, जिल्द 3, 1903



Hadith: Because of one fast Allah would remove, his face farther from the Fire (of Hell) to the extent of seventy years'distance

✦ Abu Sa'id al Khudri (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam as saying: Every servant of Allah who observes fast for a day in the way of Allah, Allah would remove, because of this day, his face farther from the Fire (of Hell) to the extent of seventy years' distance. 
Sahih Muslim Book 006, 2570

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu :Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Fasting is a shield (or a screen or a shelter). So, the person observing fasting should avoid sexual relation with his wife and should not behave foolishly and impudently, and if somebody fights with him or abuses him, he should tell him twice, 'I am fasting." The Prophet added, "By Him in Whose Hands my soul is, the smell coming out from the mouth of a fasting person is better in the sight of Allah than the smell of musk. (Allah says about the fasting person), 'He has left his food, drink and desires for My sake. The fast is for Me. So I will reward (the fasting person) for it and the reward of good deeds is multiplied ten times."
Sahih Bukhari, Book 31, No. 118

✦ Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu alaihi wasallam said, "Whoever does not give up forged speech and evil actions, Allah is not in need of his leaving his food and drink (i.e. Allah will not accept his fasting.)"
Sahih Bukhari, Book 31, Number 127

حضرت ابو سعید خدری رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت ہے: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو یہ فر ما تے ہو ئے سنا: جس نے اللہ کی راہ میں ایک دن کا روزہ رکھا اللہ تعا لیٰ اس کے چہرے کو ( جہنم کی ) آگ سے ستر سال کی مسافت تک دور کر دیتا ہے۔

صحیح مسلم جلد ۳ ۲۷۱۳

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا روزہ دوزخ سے بچنے کے لیے ایک ڈھال ہے اس لیے ( روزہ دار ) نہ فحش باتیں کرے اور نہ جہالت کی باتیں اور اگر کوئی شخص اس سے لڑے یا اسے گالی دے تو اس کا جواب صرف یہ ہونا چاہئے کہ میں روزہ دار ہوں، ( یہ الفاظ ) دو مرتبہ ( کہہ دے ) اس ذات کی قسم! جس کے ہاتھ میں میری جان ہے روزہ دار کے منہ کی بو اللہ کے نزدیک کستوری کی خوشبو سے بھی زیادہ پسندیدہ اور پاکیزہ ہے، ( اللہ تعالیٰ فرماتا ہے ) بندہ اپنا کھانا پینا اور اپنی شہوت میرے لیے چھوڑ دیتا ہے، روزہ میرے لیے ہے اور میں ہی اس کا بدلہ دوں گا اور ( دوسری ) نیکیوں کا ثواب بھی اصل نیکی کے دس گنا ہوتا ہے۔


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، اگر کوئی شخص جھوٹ بولنا اور دغا بازی کرنا ( روزے رکھ کر بھی ) نہ چھوڑے تو اللہ تعالیٰ کو اس کی کوئی ضرورت نہیں کہ وہ اپنا کھانا پینا چھوڑ دے۔

No comments:

Post a Comment

ख्वाजा गरीब नवाज- मोईनुद्दीन चिश्ती अजमेर

Urdu Shayri by Sahib Ahmedabadi

Sahib Ahmedabadi